Kal anayas hi ghoomte ghoomte
cyber ke bikhare pannon par
shabd todate jodate
bahla rahi thi main
apne vichlit man ko -
tab kan kan roondha gaya
mere bachpan ke
ek dost ka gham -
wahi ekaki
wahi rudan tha
wahi thi
paapi prem ki peedan.
Junjhlayi main
kuch kari rudali,
phir man se thi hook uthi -
kyon hum sab sakhi
ghoom rahe bematlab
chahat chahne ke
gol ghunwar mein?
kayi aur bhi to ho sakte the
aur hain bhi masale nit paraye
unhen apnate
aur jee jate hum tum
bin hichki ke.
Kahan khot hai?
kidhar kami thi -
jab rang chadhata tha Vidhata
jab bunte jate the har din
bachpan se dhaage yauwan ke?
Kaal ghalat tha
jab janame the -
ya mamta ka aanchal
seenchta tha vyarth hi
karampath pe aanewale
din ko?
Dosh tha kakscha, katha ka
ya guru dakshina par hi
koyi gaanth padi thi -
jo le gayi woh dayan
bahla ke ham se, tum se,
kisi aur sakhi se
sukh, chain hamara
bik gaya nirarthak
muffat hi sub kuch
loota, sacchi preet ki
laalas aas ne.
Refer poem 'advice' on http://billiboli.blogspot.com/2009/07/advice.html
A Month of Reflection
1 month ago
No comments:
Post a Comment