Thursday, August 23, 2007

baghbaan

har roz seenchta hai
mera baghbaan mujhe
kadwe khare paani se
phir aas yeh hai
ke upje man kuch
vriksh ghane
phal phool lade
jahan mil paye
ek sthir dharti par
sheetal chaaon
us ped tale
tab jab
jeewan saanjh dhale

Sunday, August 19, 2007

Dosti

Yoon to kayee rishton se
judi rahi main -
maa, pita, behan
bhai, pati, putra,
sakhi, sakha - sab hain.
Sochti hoon par, har rishta
kuch sokh kar hi to man ka aanchal
geela karta hai.
Haan dost mile kuch
aise bas us pal
jab langh rahe the bachpan hum
tikke rahe toofanon mein bhi
bin badle
badalte swayam ke sang.
Gaanth lagi thi tab
kuch aise antar ki
langhte the jab dahleezen hum -
rahe alag alag
par saath ka
ehsaas sada tha
jo niswarth, nischal, nirmalta se
lauta deta tha
badalte kaal ke dar se
khud ko mujh mein
mujh mein khud ko.
Issi liye-
Har rishte se pare hain hat ke
meet mere yeh bachpan ke.

[Appreciating every moment of my friendship with some of my school friends]

Saturday, August 18, 2007

umang ne udna shuroo kiya...

Umang wrote to me:

kya tumhe pata hai?
main kitni khush hoon...

pareshaniyan to ab bhi hain.
zindagi ki utar charhav to ab bhi hain.
roz ki bhaag daur to ab bhi hain.
samay ki vyastata mein bhi koi kamin nahin.
rozmarra ki sab kuch to wahi hai.
to phir main pahle vaise hin khush kyon nahin thi,
jaise aaj hoon?

razki baat to yeh hai,
ki vaakai upar se to sab kuch wahi hote hue bhi,
phle jaisa kuch bhi nahin hai.

pehle andhera hi andhera tha,
aaj ujaala hi ujaala hai.
pehle khushiyan aa kar bhi tikiti hin nahin thin,
aaj khushiyon ke choorne ki gunjaish hin nahin hai.

aaj man swastha hai,
ang ang mein dharkan hai,
aankhon mein chamak hai,
khoon mein rang hi rang hai,
dimaag sirf acchi baton mein vyast hai,
yeh insaan sirf unko apne taraf khhenchta hai,
jo is man ki, dil ki pukar ko sunta hai.

in aankhon ko,
aaj sirf achhaii dikhti hai.
is man mein sirf acche karmon ki utsukta hai,
is dil mein sirf pyar hi pyar hai,
yeh jeevan sirf khushiyan detin hain,
yeh insaan sirf doosron ki bhalai sonchta hai,
yeh vyaktitva chaahta hai ki sabhi khush rahen.

jab parivaar ke log, dost,
jo bhi roz hamaare zindgi mein aaten hain,
sabhi saath den,
to aise kisi bhi pareshaani ki jo hamen sataayen, gunjaish hin kahan hai?

par sachmuch, wo aisi kya chhez hamne paa li,
ki chahe jo kuuch bhi zindagi mein aaye, jaaye,
jo hamen har tarah se khush hi khush rakhta hai?

hamne apne andar ke bhagwaan ko pehchaan liya hai.
pyar aur vishwash ki chaadar ko orh li hai.
apne karm karte huye bhagwaan per aur sabhi kuch choor diya hai.
vishwaash hai ki bhagwaan hamare saath hai.

main khush hoon,
aur isi aakaancha ke saath ji rahin hoon,
ki sabhi khush rahen.

Thursday, March 15, 2007

aati jaati saason ke sang
guzar rahe hain din
pal pal ka ehsaas hai
yahi ke -
mai rikt hoon
tumhare bin.

Wednesday, March 14, 2007

pyar ki pyaasi thi
to zindagi se
pyar kar baithi
paana na tha naseeb mein
to phir
kyon man ko udhar kar baithi?
zindagi se mayoos
to ab bhi nahin main
jo mannat tumhari
chahat ki hai
baaqi hai aas ab talak
so tumhara main
intezaar hoon kar baithi.

Tuesday, February 20, 2007

I know
what will bring
this eternal thirst for life
to end in lasting quench,
but know not how
to untangle knots
that hold me back
from reaching out
to open sky
and touch stars
over and yonder.

Friday, January 26, 2007

Astitva

Main to bas
main hoon
apni mitti ke kan kan se
sichi, sani, rachi, bandhi -
usme hi ja miloon
isi aas mein to
zinda hoon.

Monday, January 08, 2007

Jo beet gayi woh baat gayi

Bhag abhaga kya jaane tha
niyati mein tha saath nahin
warna kyon gawanta
man niraarth ullas mein
woh waqt
jis mein milan ki
koyi aas na thi.