18/04/2008 20:49:20 GMT Daylight Timedhoop nikalti to kal bhi thi, Umang
shayad rang bhi the aur kayi
San Ramon mein
tumhare ghar aangan mein
magar kasak man ki
astitva ka adhoorapan
chura le gaya woh
pal kuch kal ke
bhav vibhor tumhe karne ka
haq tha un par utna hi
jitna mil raha hai
San Ramon ke is suraj ko.
gilon ke andhkar mein
nahin dhakelthi tumhe main
kadapi yeh dikhla kar, bas
khoye waqt ka ehsaas
dila kar, jeevan ki sulag
lagana hai;
to jeeyo kuch aur
jeeyo man bhar
sirf aaj nahin, par har din
har pal, bharpoor jeeyo kyunki
aaj abhi hai
bas abhi kuch palon mein
ise hi
hamara kal ban jana hai.
...Su Prabhat
18/04/2008 16:26:15 GMT Daylight Time
Subha Prabhat
(yahaan San Ramon ka savera...
Hindi mein likhne ko dil chah raha hai...)
Main hoon hin kushnaseeb...
Yeh San Ramon ka mausam
kitna sukhdai hai
na behad thanda,
na garmi mein lipta hua
ekdum sukoon se bhara
main hoon hin kushnaseeb...
bistar per baithe hue
mehsoos kar rahin hoon
hawwaaon ko
jo hridaya vibhor kar rahin hain;
sooraj ki kirno ko
jo gharon ki chaton ko nehla rahin hain;
dhoop ki khooshboo ko
jo mere antarang mein phael gayi hai;
pedon ki daaliyon ko
jo hawa ki uran mein jhool rahi hai;
panchiyon ke chechehahat ko
jo is mausam ko rangeen bana rahin hain;
in choote chote jantuon ko
jo hare bhare patton per bhoj-paan kar rahen hain;
Aur in sab mein
us Vidhata ko
Jiski shrishti ke raag mein
vibhor hoon aaj.
jitna bhi dhanyavad doon,
woh kam hi to hai.
haan main hoon hin kushnaseeb...
Umang