Sunday, June 15, 2008

vyatha

Lipti to tum mein
yeh soch samajh kar -
ghana ped hai
ghana hai saya,
is vrishtha vriksha ke tane tale hi
mere bikhre wajood ko
amaan milega
isi thaur tham jaoon zara agar to
bhoot se nikle vartman ko
ek navya bhawishya ka
sanwar milega.

Kya pata tha bhooli lattad ko
jo ja lipti liye tapas woh man ki
ke khokhla tana hai
bhoomi hai banjar
khud ki sookhi jaden liye
tika khada huwa tha
vriksha bhi
kisi pushth tek ki
aas mein.

Aur ab jo
mil hi gaye hain hum tum
aalinganbadh ho
sthir khade hain
ek duje ki aad liye,
ek sookha ped
duji lata ghat durbal -
kaun seenche kise
kise jhatak de kaun
tan man manse
prati din kuch aur sookhti
pritha-pat par yoon ke
sirf swayam uddhar ho.

Priye suno ab zara tum,
kya hasil is sab vichran se?
mere astitva mein
ab shesh hai kya-
jo vyatha, rudan ki buniyad bane?
waqt se jut gaye hain
hum tum se, tum mujh se
ek hai ab niyati hamari
mera astitva tera manmeet hai.
yahan go dikh rahe hain
do hum,
par jaanam
satya zara vipreet hai.

Bandhan atoot hai yeh
ab ek hai manzil
phal phool bhi
saj chuke shakhon par;
yun socho bas ab tum to
ek hai dhara hamari
ek hamara aakash hai
jaan apni hai ik ab kuch yun ke
mare ek jo lage
nidhan huye do
jiye dono to
ek prateet hamari jeet ho.

No comments: