Wednesday, September 30, 2009

Kaash aissa hota

Kaash aisa hota....
ham khwabon ke mahal mein rahte
khushiyon ke bicchawan pe rakha
armanon ka takiya hota.

Sukh chain ki basti hoti
jahan raaj aman ka hota
samay ke arjun ban kar
itihaas naya yoon rachte
mehnat se sinchi dharti par
karmon ke nishan hi milte.

Aasha ki kiran se sik kar
aaghaz subah ka karte
suraj ki tapish mein tap kar
josh ke dariya bahte.

Shaam rangon bhari aa kar
jo saans shram se deti
betaab kadam tezi se
us ore hamen le badhte
pyaar ka pyala pee kar
khushq labon ko
rahat milti.

Phir taron ki mehfil jamti
nisha dulhan si sajti
aur neend liye aankhon mein
ham chaand ko taaka karte
koi taan pawan ched deti
ek khamosh sa lamha hota
us raat hamen sone ko
hamari chahat ka
basera hota
yun roz tumhari bahon mein
ik naya sawera hota.

Kash aisa hota...
ye 'kaash' haqiqat hota....

Written on 2nd January 1991. Found yesterday on 29.09.2009

Kash persists even further away from reality.

No comments: