Friday, May 07, 2010

mama ka nidhan

Badi hi sookhi
rookhi padi thi khaak
tumhari qabr pe
pardes ki mitti
jhulsaati dhoop mein
dekha so mama
aansuon ka chidkao
aaj main kiye
aayi hoon
kuch nami mein
jo kami pade to
khwabon mein aa
batla jana-
main phir aaoongi
rone ko.

No comments: