Wednesday, May 12, 2010

Paarkhi Prabhu

Tum to paarkhi
ho na niyaton ke
to mila kyon nahi
mera man aangan
tumhe
apna ghar basane ko?
fursat ho to jhanko
is man mein
jahan har kone ko
kiya swarn khara tha
bas tum se hi
gaanth lagane ko.
phir diya kyon nahin-
kehlate jo Daata,
kisi gaam
mujhe sukoon
chalti hoon dagmag
kadmon se jab
is karmbhumi pe
jis pe tum ne
mera naam likha?

suno main ne
Rabb maana hai
tum ko, Parmaatma
naam se hi jana hai
to ab duja nyaay
upaay nahi -
ke kadam tika do
haath pakad lo
ukhdi meri saans sambhalo
durgam ye agnipath hai
ab wo waqt aa gaya
Vidhata
mere bhi to
Prabhu bano na.

1 comment:

Shaifali said...

Beautiful!
I liked it very much.
I would keep it recorded in my diary of poems.
I will come back to your blog to read some more of your gems.

Do visit and inspire me on:
www.guptashaifali.blogspot.com