Sunday, March 07, 2010

chamkila pal

ek chamkila pal
sarak pada kal
beete lamhon ke matiyale
paanon ke darmiyan se
jab puraani yadon
ki taaq main
sanwar rahi this;
jane kab se
phansa raha
woh wahan
intezaar mein
aur phir bin maange
bin chahe gulzar
kar gaya dhoondhlati galiyan
jin ka rang ab
kuch pheeka
pad chala tha!

No comments: