Friday, March 12, 2010

Pahchaan

Paani
kabhi kahan
thamta hai -
anjali bharo to
jal rista hai
badal bane phuhar
nadi, nala, jharna ban
bahta rahta hai aab
dekho agar
tum saagar ko
usme bhi paoge dhaar
thame neer
tabhi jab
roke dharti
banaa ke jheel talaab
lekin wahan
mauje nahin hotin.

Priye,
isi liye to main bahta paani
hoon.


No comments: