Tuesday, April 16, 2013

Nar se Narayan ne
Bada haas kiya hai
Adrishya ho prakriti mein
Khud ko dhoondhne ka
Woh bhi aashiqui se -
Ka aadesh diya


Phir nirantar Sandesh diya 
yoon ki 
Pramatma to bhi 
parthav preet ki
Kritak ko krit ki
Preet darkar hai.


Par hum
Kahan dhundhen tumhen
Swayam arpan karne ko ?
Samaksh sansaar mein
Jahan ki jagmagahat apni
Chakachaundh se andha karti hai
Ya dil ki galiyon mein
yuun bhi
Jahan andhere virajmaan hain?


To shama jalane
aarti chadhane ko to
tumhare hath 
aur nirantar saath ka israar hai
So ab prakat ho
Prabhu na samaksh sahi
Par arpan ko
Tumhare paas ka 
ahsaas darkar hai

No comments: